AAJ KA SAWAL NO.630
Namaaz ke waajibaat kitne hai? woh Na adaa kiye jaye to kya hukm hai ?
JAWAB
jisko jaan bujh kar chhod dene se ya bhul se chhutne ke baa’d, sajdah e sahw na karne se namaaz durust nahee hogi aur Galati se chhut jaane par aakhri ra'kat ke qa’dah me daahini taraf salaam pher kar sajdahe sahw kar lene se namaaz adaa ho jayegi.
Wo ye hai 👇🏻
(1) farz namaazo ki tisri aur chothi rakat ke alaawah tamaam namaazo ki har rakat me puri surahe faatihah aek martabah padhna.
(2) farz namaazo ki pehli do rakat ko qiraat ke liye muta’ayyan karna. (yani farz namaaz ki aakhri do rakato me qiraat karna waajib nahee hai.
(3) farz namaaz ki pehli do rakato me aur baaqi namaazo ki sabhi rakato me surahe faatihah ke ba’d koee surat ya chhoti tin aayat ya aek badi aayat ka padh na.
(4) surahe faatihah ka surat se pehle padhna.
(5) fajr- magrib–ishaa-jumu’ah-dono eed-taraaweeh-ramazaan me witr ki namaazo me imaam ka zor se qiraat padhna.
(6) zuhar-asr wagerah namaazo me imaam-munfarid (akele namaaz padhne waale) ko aahistah se padhna.
(7) qaumah yani ruku se uth kar sidhe khare hona. (is taur par ke jism ki harkat bandh ho jaye)
(8) sajdah me peshaani, naak zamin par tekna.
(9) jalsah karna yani dono sajdo ke darmiyaan "subhaanAllah" ki miqdaar me sidhe bethna.
(10) qa’dah ulaa yani teen aur chaar rakat waali namaaz me do rakat ke ba’d Attahiyyaat padhne jitna bethna.
(11) dono qa’do me Attahiyyaat ka padhna.
(12) lafze salaam padh kar namaaz ko khatm karna.
(13) tamaam arkaan ko itminaan se achchhi tarah adaa kar na (bahut jaldi na karna jese ke qavmah aur jalse me baaz log jaldi karte hai).
(14) namaaz ke sabhi arkaan ko uski tartib se adaa karna, yani koee arkaan aage ya pichhe na ho jaae,
arkaan ki adaegi me taakheer ho jaae ya koee waajib bhul se chhut jaae to sajdae sahw ka adaa kar lena.
(15) witr namaaz me qunoot ke liye takbeer kehna.
(16) du’aae qunut padhna.
(17) dono eid me 6 zaaid takbir padhna.
(18) eid ki dusri rakat me ruku ki takbir kehna.
(19) namaaz me sajde ki aayat padhi jaae to fauran sajdahe tilaawat ka karna.
📘MASAILE NAMAZ
📙TALEEMUL ISLAAM
📗MAALABUDD MINHU
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
💻Hamare Sabhi Sawal jawab Aur dusre mazeed masail ki maloomat Ke liye hamari nayi khubsurat fihrist wali apps zaroor dawnload karen
👉🏼https://play.google.com/store/apps/details?id=masaail.ilmedeen
No comments:
Post a Comment