Thursday 17 March 2016

Ahadis ki roshni me Aamaale JUM'AA

1.  Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya Jo shakgs jumaa ki raat me surae dukhan سورة دخان
(paara number 25)padhegaa uski magfirat kardi jaaygi
Tirmizi sharif
Ek ruwaayat me hai
Jannat me uske liye ghar banaa diyaa jaayga
Almujamul kabir littibrani
Ek riwaayaat me hai
70 hazaar farishte uske liye duaae magfirar karenge
Tirmizi sharif
➖➖➖
2⃣ Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya Jo shaks jumaa ke din yaa raat surae yaaseen سورة اليسين
padhegaa uski magfirat kardi jaaygi
Attargeeb
➖➖➖
3⃣ Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya  Jo shaks jumaa ki subah fajr kee namaz (farz) se pehle ye astagfaar 3 martaba padhe uske gunaah samandar ke barabar kyoo naho maaf kardiye jaaynge
astagfirullahal lazee laa ilaaha illaa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilyh
استغفر الله اللذي لاإله الا هو الحي القيوم و اتوب اليه
Ibne sunni an anas radiyallahuanhu
➖➖➖
4⃣ Rasulullah sallallahualyhiwasallam jab jumaa ke din masjid me daakhil hote to ye duaa padhte allahummaj alni awjaha man tawajjaha ilyk wa aqraba man taqarraba ilyk wa afzala man sa alaka wa ragiba ilyk 
اللهم اجعلني اوجه من توجه اليك و اقرب من تقرب اليك و افضل من سألك و رغبك اليك
Ibne sunni
➖➖➖
5⃣Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya jo shaks jumaa ke baad Surae ikhlaas 7 times. Surae falaq 7 times. Surae naas 7 times.
سورةالاخلاص . سورة الفلق . سورة الناس
Padhegaa allah paak usko ek jumaa se doosri jumaa tak museebato aor buraaiyyo se mahfooz rakhenge
Ibne sunni
➖➖➖
6⃣ Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya jo shaks jumaa kee namaz ke baad 100 times Subhanallahil azeemi wabi hamdihee
سبحان الله العظيم و بحمده
padhegaa allah paak uske 1 laakh aor uske waaliden (maa baap) ke 24 hazaar gunaah maf kar denge
Ibne sunni
➖➖➖
7⃣ Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya mujh par kasrat se durud bhejte raho jo shaks aisa karega qayamat ke din uske liye shahaadat (gawaahi)doonga aor shifaat karoonga
Alqolul badee
(300 martaba kasrat me daakhil hai)
➖➖➖
8⃣ Hazrat ibne umar radiyallahuanhumaa farmate hai jo shaks jumaa ke din Surae kahafسورة كهف (paara number 15) padhega uske qadam aor asman ke darmiyaan ek noor hogaa jo qayamat ke din roshan hoga aor 2 jumaa ke darmiyan ke gunaah maaf kardiye jaaynge
Attargeeb
Ulamae ikram jumaa ke din iske padhne ko sunnat qarar dete hai
➖➖➖
9⃣ Hazrat abu hurairah radiyallahuanhu farmate hai jo shaks jumaa kee asar kee namaz ke baad ye durud Allahumma salli alaa muhammadinin nabiyyil ummiyyi wa alaa aalihi wa sallim tasleemaa 80 times
اللهم صل على محمد ن النبي الامي وعلى آله وصحبه وسلم تسليما    padhegaa uske 80 saal ke gunah maaf honge aor 80 saal ki ibadat kaa sawab uske liye likha jaayga
Alqolul badee
➖➖➖
Duaa kee darkhast az Talibeilm

No comments:

Post a Comment