Thursday, 31 December 2015

New year Celebrations

2⃣0⃣1⃣6⃣NEW YEAR MANANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.561⭕

New year manana ya manane walon ko un ki lighting aur aatishbaazi ko dekhne jana kesa hai?

🔵JAWAB🔵

New year manana ye isaiyon-nasaaraa ka tareeqah hai.huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irshad hai,"jis ne jis qaum ki mushabahat-copy-naqal utaree kal qayamat me us ko un hee ke sath uthaya jayega"yani us ka shumaar bhi un hi me hoga.
qazi sanaaullah panipati rahmatullahi alayhi ne maslaa likha hai ke koi shakhs diwali me baahar nikle aur diwali ki (roshni-atishbazi wagairah) ko dekhkar kahe ke kitna achchha tareeqah hai to us ke tamam nek a'amaal barbad ho jayenge. (MAALAA BUDDA MINHOO)
isi tarah new year manane walon ko dekhne jana bhi jaiz nahi kyun ke Huzoor salallahu alayhi wasallam ka irshade mubarak hai ke "jis ne jis qaum ki taadaad ko barhaaya us ka shumar bhi un hee me hoga", lihaza is raat me bahaar roshni aatishbazi dekhne jana,khane pine ki party karna naye saal ki mubarakbadi dena,naye saal ki khushi manana,ek dusre ko gift dena wagairah jitne tareeqah un ke tareeqah hai sab na jaiz aur iman ko barbad karnewale hai ibrat ke liye ek qissa pesh karta hun

NASRANIYON KE TAUR-O-TARIQE PASAND KARNE WALE AALIM KA IBRATNAAK QISSAH

📄hazrat imaam-e-Rabbani maulana rashid Ahmad gangohi rh. ne irshad farmaya :

Kanpur me koi nasraani jo kisi aa'la ohde par tha woh muslaman ho gaya tha, Magar asliyyat chhupa rakhi thi,
Ittefaq se uska tabadla (transfer) kisi dusri jagah ho gaya, usne un molvi sahab ko jisse usne islam ki baaten sikhi thi, apne tabadla se muttale'a kiya (ittela di) aur tamanna ki ke kisi deendaar shakhs ko mujhe den, jisse ilm haasil karta rahun, chunanche molvi sahab ne apne ek shagird ko unke sath kar diya,

Kuchh arse baad ye nasrani (jo musalman ho chuka tha) wo bimar huwa to molvi sahab ke shagird ko kuchh rupiye diye, aur kaha ke jab me mar jaaun aur isaai jab mujhe apne qabrastan me dafan kar aaye to raat ko ja kar mujhe wahan se nikalna aur muslamano ke qabrastan me dafan kar dena,

Chunanche waisa hi huwa, jab molvi sahab ke shagird ne hasbe wailsiyyat jab qabr kholi to dekha ke usme wo nasrani nahin, Albatta wo molvi sahab pade huwe hai, to sakht pareshan (sharminda) huwa ke ye kyaa maazra hai..! Mere ustaad yahaan kaise..!

Aakhir daryaft se malum hua ke maulana sahab nasrani ke toro tariqo ko pasand karte the aur usey achchha jaante the.

📘(Irshadate hazrat gangohi rh. safa 65)

👇🏻👇🏻👇🏻
Mere bhaiyo,
ye molvi sahab sirf gairon ke tariqon ko pasand karte the, us par chalte nahi the, to Allah ne duniya hi me jiska tariqa unko pasand tha uske saath hashr kar diya,

Hum to gairon ke tariqon par chalte hai, balke us par naaz karte hai, to hamara kyaa hashr hoga..!
socho
Aur apni shaklo surat, libaas, rahan sahan, khushi gami me islami tariqon ko laao.
👏🏻Allah hamen taufiq de.
Aamin.

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

No comments:

Post a Comment