Thursday, 10 December 2015

Mardo ke liye Hoor to Aurto ke liye kiya?

JANNAT MEIN MARDO KO HOOREY MILENGI TO AURATO K LIYE KYA?
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Alhumdulillahi rabbil ala'meen wassalatu Wassalam alaa Rasoollallahi wa ala alaihi wa asahabihi aajmaeen. Amma ba'ad

👉Quran E Kareem k mutabiq koi shaks jannat mein dakhil hoga to use hoor, yaani khoobsurat doshizah di jayegi, sawal ye hai k koi aurat jannat mein jayegi to use kya diya jayega?

👉Lafz Hoor quran e kareem mein kam az kam 4 mukhtalif muqamaat par istemaal hua hai

🔶1. Yuh hi hoga aur hum unka nikah kar denge badi badi aankho wali hooro se.
📕(Surah Dukhan Surah no. 44 Ayat no. 54)

🔶2. Aur hum unka nikah badi badi aur roshan aankho wali hooro se kar denge.
📕 (Surah Taur Surah no. 52 Ayat no. 20)

🔶3. Khaimo mein thehraayi gayi hoorey.
📕(Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 72)

🔶4. Aur unke liye khoobsurat aankho wali hoorey hongi, aesi haseen jese chipa kar rakkhey hue mooti.
📕(Surah Waqiyah Surah no. 56 Ayat no. 22,23)

🔶🔷HOOR KA MATLAB🔷🔶

👉Quran E Kareem k bahut se mutarjameen ne lafz e Hoor ka tarjuma khasusan urdu tarajim mein khoobsurat doshizaye ya ladkiya kiya hai, is surat mein wo sirf mardo k liye hongi, tab jannat mein jaane wali aurato k liye kya hoga?

👉Lafz "Hoor" fi al waqey Ahwar (mardo k liye qabil e itlaaq) aur hoora'a (aurato k liye qabil e itlaaq) dono ka saigah jama hai aur ye ek aese shaks ki taraf ishara karta hai jiski aankhey hoor se mutasaf ho jo jannat mein jaane wale mardo aur khawateen ki saleh arwaah ko bakhshi jane wali khasusi sifat hai aur ye rohaani aankh k safaid hissey ki intihayi ujli rangat ko zahir karti hai.

👉Doosri kayi aayat mein quran e kareem mein farmaya gaya hai k jannat mein tumhare azwaaj, yani joodey honge, aur tumhe tumhara jooda ya pakeezah saathi ata kiya jayega,

irshad e bari ta'ala hai:
🔶Aur (Ae paigambar!) jo loog is kitab par emaan laye aur naik amal kare, unhe khushkhabri de do k unke liye aese baag hai jinke nichey nehrey behti hongi, jab bhi unmey se koi phal unhe khane ko diya jayega to wo kahenge k ye to wahi hai jo is se pehle humko dunya mein diya jata tha, unke liye waha pakeezah beewiya hongi aur wo waha hamesha rahenge.
📕(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 25)

🔶Aur jin loogo ne hamari aayaat ko maan liya aur naik amal kiye, unko hum aese baago mein dakhil karenge jinke nichey nehrey behti hongi jaha wo hamesha rahenge, aur unko pakeezah beewiya milengi aur unhe hum ghani chaao mein rakkhenge.
📕(Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 57)

🔶🔷AURATO K LIYE KHASUSI INAAM🔷🔶

👉Bahut se ulama ka khayaal hai k quran mein jo lafz "Hoor" istemaal hua hai us se muraad sirf khawateen hai kyunki uske baare mein khitab mardo se kiya gaya hai, uska wo jawab jo sab qism k loogo k liye laziman qabil e qubool ho, hadees mubarak mein iska jawab diya gaya hai:

🔶Allah ta'ala ne farmaya mene apne bando k liye wo kuch tayyar kar rakkha hai jise unki aankho ne dekha hai na unke kaano ne suna hai aur na kisi insaan k dil mein uska khayal guzra hai.
📚 (Sahih Bukhari Hadees no. 4779)

🔶Hadees k lafz Ibaad mein mard aur aurat dono shamil hai albatta is silsiley mein sheikh Nasiruddin Albani Rahimahullah ne silsila saheeya mein ek hadees naqal ki hai k (jannat mein) aurat (dunya k lihaz se) aakhiri khawind k saath hogi.
📚(Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1281)

🔶Is se maloom hota hai k dunya mein shadi shuda aurat jannat mein bhi apne khawind hi k saath hogi, albatta jinki shadi na hui ya jinke khawind kafir hai unko jannat mein mardo k saath biyaah diya jayega.
📚(Tafseer Ruhul Ma'aani 14/207)

No comments:

Post a Comment