Monday 21 September 2015

Aulad Ke Haq Mein Dua

Zilhajj ke 7, 8, 9 aur 10 tarik ko specially Aulad ke haq mein dua Mangana hai.
Kyun ki in dino mein Hazrat Ibraheem (a.s) ne apni Aulad ke liye dua mangi thi, aur ALLAH ne qubool ki thi.
Aulad ki Zindagi, Sehat, Maal aur Izzat mein barqat ke liye dua karni hai.

Aulad ke achche Naseeb aur Neik Jode ke liye dua karna hai...
Har Maa aur Baap yeh Zaroor karein. Ameen.Ameen
Hajj k din asar k bad ka time
4:30 se 5:30
Qaboliyat ka wqt hai
447 br ALLAH HUMMA LABBAIK"
21 bar awal o akhir
DROD E IBRAHIM
Phr koi b jaiz dua kren
Insha Allah zrur puri h0gi

Ayyame ashray zilhijjah choonke mubarak ayyam hai jinki fazilat bhot hai lihaza duaa in ayyam me khususan maangne kaa ehtemam karna chahye
Neez
Aise khas mawaqea par bhi duaa maangna chahye mujarrab hai
Lekin
Choonke kisee hadis se yaa kisee mustanad buzurg se iska subut nahi
Lihaza
Iski dawat nahi chalani chahye
Kahee log isko sunnat yaa sabit na samajhne lage
Talibeilm

No comments:

Post a Comment