Sunday, 8 March 2015

... Namaazi Ke Aage Se Guzarana

NAMAZI KE SAAMNE  SE AGAR  AURAT, KALA KUTTA AUR GADHA GUZRE TO KYA USSE NAMAZ TOOT JAATI HAI?

Ek hadees me aaya hai-

Abu Dharr (raziallahu Ta'ala anhu)  farmate haj ke Rasool Allaah (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya-

Jab tum me se koi shaks namaz padhne ke liye khadha hota hai to uske liye kajawe (camel saddle) ke aakhri hisse jitna sutra (kaafi)hai,agar uske saamne kajawe ke aakhri hisse jitna sutra na ho to uski namaz ko GADHA,AURAT aur  KALA KUTTA (saamne se guzar kar) kaat deta hai (yaani todh deta hai).....

(Sahih Muslim,Abu Dawood:702,Tirmizi:338
Ibn Majah :952
Nasai:751,Sanad Sahih)

Is hadees ki buniyaad par bahot se Ulama ne ye fatwa diya hai ke agar Namazi ke saamne sutra na ho aur kutta,gadha aur aurat uske saamne se guzar jaaye to uski namaz toot jaati hai.

Shaikh ibn Baz rahimaullah
Shaikh Saleh Al Usaimin rahimaullah
Abu Ayyub Lahori hafizahu Allaah ,wagaira ka bhi yahi fatwa hai

See-
Islamqa.info/en/118153

And Fiqhul Hadees Vol -1.

◾Lekin ye tahqiq GALAT hai.

ALLAAH Zubair Ali Zai Rahimaullah ke qabar ko noor se bharde.
Alhamdulillah unhone likha hai ye Namaz ko todhne waali rawayat mansukh hai aur sahih baat ye hai ke Namaz ko koi chiz nahi todhti.

Unki tahqiq ye rahi:

١٣٨٠ - حدثنا القاضي الحسين بن الحسين بن عبد الرحمن الأنطاكي , ثنا إبراهيم بن منقذ الخولاني , نا إدريس بن يحيى أبو عمرو المعروف بالخولاني , عن بكر بن مضر , عن صخر بن عبد الله بن حرملة , أنه سمع عمر بن عبد العزيز , يقول عن أنس , أن رسول الله صلى الله عليه وسلم صلى بالناس فمر بين أيديهم حمار , فقال عياش بن أبي ربيعة: سبحان الله سبحان الله سبحان الله , [ص: ١٩٤] فلما سلم رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال: «من المسبح آنفا سبحان الله؟» , قال: أنا يا رسول الله إني سمعت أن الحمار يقطع الصلاة , قال: «لا يقطع الصلاة شيء»
 
Anas (raziallahu Ta'ala anhu) se rawayat hai ke -Rasool Allaah (sallallahu alaihi wasallam)  ne logo ko namaz padhayi,To aap ke saamne se ek gadha guzra.

Aiyyash bin Rabia (raziallahu Ta'ala anhu) ne kaha-

Subhan Allaah! Subhan Allaah!Subhan Allaha! .
Jab Rasool Allaah (sallallahu alaihi wasallam) ne salam phera to poocha-

Kisne Abhi Subhan Allaah kaha tha?

Unhone kaha -Maine Ya Rasool Allaah! Maine soona hai ke gadha namaz ko todh deta hai.
Aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya-

"NAMAZ KO KOI CHIZ NAHI TODHTI".

(Sunan Ad Darqutni-
1380
Zubair Ali Zai Rahimaullah ne iski Sanad ko HASAN kaha hai)

Salim Bin Abdullah (rahimaullah) farmate hai-
Beshak Abdullah ibn Umar (raziallahu Ta'ala anhu) se kaha gaya-

"Beshak Namaz ko kutta aur gadha todh deta hai.
To ispar Ibn Umar (raziallahu Ta'ala anhu) ne kaha ke-

Beshak Muslamano ki namaz ko koi chiz nahi kaant (todh) ti.

(Imam Tahawi rahimaullah ne is rawayat kiya hai -1/463,Sanad Sahih by Hafiz Zubair ali zai rahimaullah)

Saeed ibn Al Musayyib (rahimaullah) se rawayat hai ke-

Ali aur Usman (raziallahu Ta'ala anhum) dono ne farmaya-
Beshak Muslamano ki namaz ko koi chiz nahi kaat ti (todhti).
Aur tum jitni taqat rakhte ho un(guzarne waali chizo)ko hatado.

(Ise Tahawi rahimaullah ne rawayat kiya hai -1/463,
Hafiz Zubair Ali Zai Rahimaullah ne ise SAHIH kaha hai.)

See:-
(Mahanama Al Hadees of Zubair Ali Zai Rahimaullah, No-123
Pg- 42:43,for the tahqiq)

Imam At Tirmizi (rahimaullah) said after mentioning one hadees -

"It is acted upon according to most of the people of knowledge among the Sahabas and those after them among Tabeyin.
They say that-The Salaah is not severed by anything.
This is the saying of Sufiyan Sauri (rahimaullah) and Imam Shafai (rahimaullah)

(Sunan At Tirmiz :337)

Lehaza Hadees e Rasool (sallallahu alaihi wasallam)  aur aasar e Salaf se ye baat waaze hogayi ke Namaz ko koi chiz nahi todhti aur jis rawayat me aaya  hai ke Aurat, kala kutta aur Gadha namaz todh deta hai wo Hadees Mansukh hai.

And Allaah knows best.

Nazar Saani (Cross Checked) by-

Shaikh Abu Horaira Hafizahu Allaah
(Student of Medinah University)

No comments:

Post a Comment