Tum Yaa Tou Aalim Bano, Ya Taalib-e-Ilm Bano
» Hadees :
Hazrate Abu Bakar (RaziAllahu Anhu) Farmate Hain,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Yeh Irshaad Farmate Huye Suna -
‘Tum Yaa Tou Aalim Bano,
Ya Taalib-e-Ilm Bano,
Ya Ilm Tawajjo Se Sun’ne Wale Bano,
Ya Ilm Aur Ilm Waalo Se Mohabbat Karne Wale Bano,
✏(Inn 4 Ke Alaava) Paanchvi (5th) Qism Ke Mat Bano,
✏Warna Halaak Ho Jaoge’.
Farmaya –
‘Paanchvi Qism Yeh Hai Ki Tum Ilm Aur Ilm Walo Se Bughz
(Nafrat Wa Dushmani) Na Rakho Warna Halaak Ho Jaoge’.-
(Tabrani~Bazzar~Mazmuz-Waeed: 1/328)
No comments:
Post a Comment