Arabic Month "Rajab" Shuru Ho Chuka Hai, Rajab Ke Month Me Hone Wali Bidato Se Pehle Aayye Ham Ye Bata Dein Ke Quran O Hadees Me Rajab Ke Talluq Se Kya Cheez Saabit Hai
Quran Me Allah Ne Months Ki Taadaad 12 Bataai Hai,Aur 12 Me Se 4 Months Ko Hurmat Wale Maheene Kaha Hai
(Al-Quran, Surah At-Taubah 9, Ayat 36)
(Hurmat Wale Months Yaani Izzat Aur Ehtaraam Wale Months)
Hurmat Wale Ye 4 Months Kon Se Hain ? Is Ki Wazahat Quran Me Nahi Hai,Balki Is Ki Wazahat Hadees Me Hai K Ye 4 Months Ye Hain :
1-Zul-Qada, 2-Zul-Hijja , 3-Muharram, 4-Rajab
(Sahih Al Bukhari Hadees 3197)
(Sahih Al Muslim Hadees 1679)
Rajab Ke Talluq Se Quran Aur Sahih Hadees Se Sirf Aur Sirf Itna Hi Pata Chalta Hai K Ye Izzat, Ehtaraam Aur Hurmat Wale 4 Maheeno Me Se Ek Maheena Hai.Is Ke Alawa Rajab Ki Kisi Khaas Fazeela Nahi Hai.
Ab Aayye Dekhein K Ilm Ki Kami Ki Waja Se Is Month Me Musalmano Ne Kin Kin Biddato Par Amal Karna Shuru Kar Diya
1- Salat Ul Raghaaib
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Rajab Ke First Friday Ya Thursday Ko Maghrib Aur Esha Ke Darmiyaan Kuch Log "Salatul Raghaaib" Ke Naam Se Ek Namaz Padhte Hain,Jis Me 12 Rakat Padhte Hain.
Khayaal Rahe K Kisi Bhi Sahi Hadees Se Rajab Ke Month Me "Salat Ul Raghaaib" Naam Se Koi Namaz Saabit Nahi...Lihaaza Hame Is Se Bachna Chahiye.
2- Rajab Ke Koonde
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Is Month Me Kuch Musalman Jafar Sadiq Ke Naam Se Koonde Bhi Banate Hain,Us Par Niyaz Dilwate Hain Aur Ye Aqeeda Rakhte Hain K Koonde Bharne Ke Baad Ham Jo Muraad Mangenge Wo Poori Hogi...Ye Bhi Bidat Hai,Is Talluq Se Jafar Sadiq Aur Ek : Lakkad-Haare Ka Jo Qissa Bayaan Kiya Jaata Hai Wo Man-Ghadat Hai.
Doosri Baat Ye K Jafar Sadiq Hon Ya Koi Aur Insaan, Walii Peer,Kisi Ko Bhi Shariyat Banane Ka Haq Haasil Nahi...Shariyat Wahi Hai Jis Ka Hukum Allah Aur Rasool Ne Diya Hai...(But Khayaal Rahe K Jafar Sadiq Ki Taraf Mansoob Qissa Bhi Man-Ghadat Hai).Lihaaza Is Month Me Koonde Ki Bidat Se Bhi Hame Bachna Chahiye
BALKI HAQIQAT YE HAI KI RAFIZION (SHIYA) KE YAHAN 22 RAJAB KO KAATIB HZ AMIR MUAWIYA (RA) KI TAREEKH-E-WAFAAT PAR KHUSIYAAN MANAYI JAATI HAI
JISSE GHAFIL HONE KI WAJAH SE BAHUT SE MUSALMAAN RAFIZION (SHION) KE SAATH KISI NA KISI TARAH TYOHAR ME SHAREEQ HO JAATE HAIN,
ISS KHURAFAAT KE ELAWA 27 RAJAB KO BAHUT SE MUSALMAAN ISRA AUR MERAZ-E RASOOL(SAW) KI TAREEKH MUTAIYYAN MAAN KAR BAHUT SE BIDAT AUR KHURAFAAT ANJAM DETE HAIN, JABKI TAREEKH-E-ISRA WA MERAJ ME BADA IKHTELAAF HAI AUR YAQEEN KE SAATH KUCH NAHI KAHA JAA SAKTA HAI, KAM SE KAM MUSALMAN MERAJ KE TAFSILAAT PAR GAUR KAR LEN TO BAHUT SE KABEERA GUNAAHON SE BACH JAANE KA IMKAAN HAI
3- Jashn E Meraaj
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬
Kuch Musalman 27 Rajab Ko Rasool Sallallau Alaihi Wasallam Ka "Jashn E Meraaj" Manate Hain,Ye Bhi Bidat Hai,Kyo K Pehli Baat To Ye K Ye Cheez Hi Saabit Nahi K Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Jo Meraaj Hua Tha Wo Rajab Ke Month Me Hua Tha.
Meraj Hua Ye Quran O Hadees Se Saabit Hai,Lekin Kis Month Me Hua Ye Kisi Sahi Hadees Se Saabit Nahi.
Lihaaza Is Tarah Ka Jashn Manane Se Bhi Hame Bachna Chahiye.
(Isii Tarah Khaas Rajab Ke Month Me Kuch Dino Ko Khaas Kar Ke Roza Rakhne Ki Bhi Koi Daleel Nahi Hai)
Deeni Aitabar Se Har Woh Kaam Bidat Hoga Jiska Saboot Quran Aur Hadees Main Nahin Milta
Koi Bhi Kaam Neki Samaj Kar Sawaab Ki Niyyat Se Kiya Jaye,
Jiske Karne Ka Hukm, Na Allah Ke Kalaam Yani Quran-E-Kareem Me Maujood Ho, Aur Nahi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Yani Hadees-E- Mubaraka Me Maujood Ho Aur Nahi Sahaba (Ra) Ke Tarikhe Me Maujood Ho, Usko Biddat Kehte Hai.
(Jo log Biddat ko taqseem krk Gumrahi pahlarahe hai jaise Bidat e Sayya, Biddat e Hasna un askaas k liye ye Hadees se behtareen aur koyi islaah nahi)
► Abdullah Ibn Umar farmate hain,
Tamam Biddatein gumrahi hai agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko acchi lagein
(SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).
No comments:
Post a Comment