Tuesday, 13 January 2015

Reality Of Basant

UTRAAN
( BASANT )

KI HAQIQAT ISLAM KI NAZAR ME

Kaun Nahi Jaanta Ke Patang Bazi Firauni Amal Hai, Sabse Pehle Misr Me Uski Ijaad Huwa; Uske Baad China Me Aaya, Phir Uske Baad Hindustan Me Aaya, Hidustan Me Sabse Pehle Punjab Me Shuru Huwa,, iska Waqiaa Aaiysha Razi ALLAAH Anhu  Hai Ke Shah Orangzaib ke Zamane Me Aek Aadmi Tha Jiska Naam, Haqiqatur Rai, Tha, Orangzaib ke Zamane Me Usne Sabse Pehle 14 January ko Patang Chadayi, Phir Usne Apni Patang Utar Di, Phir Usne Ye Daawa kiya ke ( نعوذ بااللہ ) Hazrat Muhammad Sallallahu alaiyhi wasallam   ko Khatm Kar Diy Jo Allah ke Sabse Ziyada Mahboob Hai, Uski Ye Gustakhi Karne Par Shah Orangzaib Rahmatulla Alaiyhi Ne Usko Suli Latka Diya,, Ab Ye Tehwar Tab se Chala Aa Raha Hai, Ab Sawaal Yeh Paida Hota Hai ke Kiya Sochlo ke Aysa Tehwar Jisme Hamare Aaqa Sallallahu Alaiyhi Wasallam ki Gustakhi Maujood Ho Wah Tehwar Manana Chaahye Ya Nahi? Agar Aap Musalman Hai To Isko Manane se Pehle Ghuor kar lena Ke Me Kisse Muhabbat karta Hun Phir Khoob Soch Samajh kar Apna Qadam Uthana...
Allah Taala Hame Aaqa ki Gustakhi Se Bachaaye!

No comments:

Post a Comment