JANWARON KO ZABAH KARNA ZULM NA HONE KI DALEELEN
⭕AAJ KA SAWAL NO. 787 ⭕
kya janwaron ki qurbani karna ye un par zulm hai ? gairon ka kehna ke islam ka ye tareeqah raham ke khilaf hai ye saheeh hai ?
🔵JAWAB🔵
1. Allah janwaron ka Malik hai, Malik ko Apni milkiyyat me tasarruf (jo chahe wo) karne ka ikhteyar hota hai, kisi dusre ke fate huwe kapde ko faadna bhi zulm hai lekeen malik apne behtareen kapde ko apne kaam ke liye faad de use koi zulm nahi kehta.musalmano ko Janwaron ke paida karnewale aur malik Allah ne qurbani karne ka hukm diya hai is liye qurbani karte hai.
2. Qurbani har mazhab me balidaan, bhog, balee, bhet chadhana wagerah naam se maujud hai.
3. Murghi, Machhli, Zinge wagerah jaandar ko dusre mazhab wale bhi maarte aur khate hai, to fir aetraz musalmano par hi kyun ?
4. Sabziyan, phalon, phoolon me bhi jaan hai, unko bhi hawa, paani aur roshni ki zarurat hai, science kehta hai wo bhi jaandar hai, jivdayaa karne jaoge to isey khana bhi chhodna padega. chhote jiv me bardashat ki taqat chhoti hoti hai, bade jiv me bardashat ki taqat badi hoti hai, isliye taklif pahonchne me chhota jiv aur bada jiv yaksa-same hai.
5. Islam mazhab duniya ke har kone ke liye hai, jahan sirf baraf hi baraf aur registaan hi registaan ho jahan sabjiyan nahi hoti, wahan ke logon ko janwar zabah karne se manaa kiya jaye to log kya khayenge ?
6. gosht khana fitaree-prakutik chiz hai, is liye Allah ne insaan ko faad khane wale janwar ki tarah uppar ke 2 naukile daant aur chabane ke liye gol darhen dee hai. sabzi khanewale janwar ko na naukile dant diye, na g) to darhen dee, bale sab daant sidhe aur chapti darhen dee.lihaza ye naukile tinne daant aur gol darhen sabzi khane nahi dee hai, balke gosht khane dee hai.
7. janwar ko zabah na karte to bhi wo ek na ek din bimari me mubtala ho kar tadap tadap ke zaroor marta woh hamesh nahi jita hai. zabah karne se usey aasaan maut milti hai. isiliye apni samajh me aasan maut hi ke liye baaz insan khudkushi-aatmhatya karte hai.take bimari ki taklif uthani na pade.
8. jo janwar baanjh hai bachche nahi jante,dudh nahi dete aur burhe-kamzor ho gaye hai un ko ghas charah khilane me ghas charah kam hota hai, paise bhi zayea hote hai. aur behtar janwaron ke chare ka haq kam ho jata hai.baahar charne ke liye chhodne me plastic ki theliyan khakar marti hai.
Aql ye kehti hai aese janwaron ko zabah kar dena chahiye taa ke ghas charah achchhe janwaron ko mile aur us se un janwaron ki sihhat wa tandurasti me izafah ho aur dudh me badhotari-ziyadati ho. aesa karna un par raham hai.
9. zulm ke mane sirf taklif pahonchana ho to har qaum ko khatmal, machchhar, chuha wagair taklif pahonchane wale janwar ko sirf bhagane ki ya pakad ke kahin chhod aane ki dawa ya machine istiamal karni chahiye, iske bajaye jaan se maar dalte hai, pata ye chala insan sab se behtar makhlooq-jiv hai apne fayde ke liye adna-mamooli makhlooq-jiv ko maar sakta hai.
10. janwar ka dudh har qaum piti hai baawajood iske ke woh us janwar ke bachche ka haq hai, jab ye zulm nahi to gosht khana kese zulm hoga !
Aur bhi bahut se daleelen hai jis se sabit hota hai ke janwaron ko zabah karna na zulm hai na raham ke khilaf hai.
📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India
💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
📱
http://www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment