Sunday 1 February 2015

11 ween Shareef Aur Islam

Giyarwee alfaz ek urdu alfaz hai jiska matlab gyara hota hai. Aur isse murad Qamri gyara tarikh hai. Giyarwee Shareef ek khas eesale sawab hai Sheikh Abdul Qaadir Jilani (alaihir rahmah) ke liye. Aur ahle biddatio ka kahna ye bhi hai ki ham is din Sayyiduna Sheikh Abdul Qaadir Jilani (alaihir rahmah) ko yaad karte hai. Aiye dekhte hai iski kya sharai haisiyat hai Quran wa sunnah me aur Sheikh Abdul Qaadir Jilani (alaihir rahmah) ki amalan zindagi me.

��۞ Quran
Agar ap Quran padhenge to apko  pata chalega ki Quran ki koi ayat nahi jo kahti hai ki ek Muslim ko ghyarwi shareef manana chaiye.

��۞ Sunnah
Agar ap Hadiths padhenge to apko malum padega ki koi bhi aisi riwayat nahi hai chahe wo zaif ya maudu hi kyu na ho jisme likha hai ki ek Muslim ko ghyarwi shareef manani chaiye.

��۞ Char Imam (4 Imams)
Agar ap 4 Imam ki zindagi ka tazkiya karenge to apko ya malum hoga ki 4 imam maise koi bhi Imam nahi the jinhone Giyarwee Shareef manaya ya manane ka Hukm diya ho.

��۞ Sheikh Abdul Qaadir Jilani (raheemullah)
Agar ap Sheikh Abdul Qaadir Jilani (raheemullah) ki zindagi ka mutalla karenge to apko pate chalega ki Sheikh ne kabhi bhi Giyaewee Shareef nahi manaya na hi unhone hukm diya ho ki mere wafat ke baad manana.

Balki Sheikh ne deen me nayi chiz paida karne ko mana kiya tha jo ki aksar Sheikh ke mureed bhul chuke hai:

��Sheikh farmate hai  “Tumhare upar Ittibaa lazim hai aur nayi chiz ijaad karna nahi aur tumpar salaf as saaleh ke mazhab (tarike) par amal karna lazim hai aur wahi sidha rasta hai jo tumhe apnana chaiye.”
Al-Fath ur-Rabbaanee (p.35).

Aur jo ahle aql ho unko yaad diladu ki Islam me sirf do hi tewhaar(Festival) hai:

أَخْبَرَنَا عَلِيُّ بْنُ حُجْرٍ، قَالَ أَنْبَأَنَا إِسْمَاعِيلُ، قَالَ حَدَّثَنَا حُمَيْدٌ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ كَانَ لأَهْلِ الْجَاهِلِيَّةِ يَوْمَانِ فِي كُلِّ سَنَةٍ يَلْعَبُونَ فِيهِمَا فَلَمَّا قَدِمَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم الْمَدِينَةَ قَالَ ‏ “‏ كَانَ لَكُمْ يَوْمَانِ تَلْعَبُونَ فِيهِمَا وَقَدْ أَبْدَلَكُمُ اللَّهُ بِهِمَا خَيْرًا مِنْهُمَا يَوْمَ الْفِطْرِ وَيَوْمَ الأَضْحَى ‏”‏

��Anas bin Malik riwayat karte hai ki:

“Jahilliyah ke logo har saal do din khelte the. Jab RasoolAllah s.a.w Al-Madinah aye to unhone kaha: Tumlogo ke pass do din tha jisme tum khelte the, lekin Allah swt ne Muslims ko isse behtar kuch diya hai: Al-Fitr aur Al-Adha ke din.”
Sunan an-Nasa’i- 1556.

Kuch log kahte hai ki Isme burai hi kya hai. Ham auliya Allah ko yaad hi karte hai aur unko eesal e sawab karte hai. Ye sab neki ke kaam hai.

�� Un ke jawab ke liye Allah ke Rasool ki ek hadith hi kafi hai:

Mohammad sallalaahu alaihi wa sallam ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”
[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]

Is hadith se hame ya pata chala ki jo Amal hume ALLAH ke nazdik lejasake wo Allah ke Rasool s.a.w.  ne hama bata diya hai. Agar ham koi amal karte hai jiski Dalail Quran wa sunnah me na ho to wo amal hame Allah ke nazdik nahi kar sakti wo kyu na Kitna bhi nek amal ho. Isiliye Rasool ke sahabi

��Abdullah Ibn UMar(RA) farmate hai:

“ TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.
SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).

��Gyarvi Sharif Ki Niyaz Karnewalo ko samajhna chaiye ki Kya Woh Apne Peer Ke Tariqe Par Hai??? Agar Sheikh Abdul Qadir ne is tarike se eesal e sawab nahi kiya na hi aisa koi din ko khas kiya to ham aisa kar ke kya sabit karna chahte hai??? Kya ham Sheikh se zyada Islam jante hai??? Aur Sheikh ko ek hi din kyu yaad karna?? Hame to har din unke Islam ki Taalimaat ko aam karna chaiye. Sachhi Mohabbat ek din ki nahi hoti...

��Allah hamsabko ko Islam ko sahi se samjhne ki tofiq de��
Ameen apka bhai ��

No comments:

Post a Comment