باسمہ تعالىhazrat Shaikh farmaate hain ke hazrat maulana Ahmad Ali Lahori (Ra) apne shadi ka waqea sunaya, farmane lage meri honay wali saas ne apne shohar se kaha ke beti jawan ho rahi hai, koi damaad talaash karo, to mere sasur Punjab k har madrasa mein taqreeban gaye dekhne k liye, ke koi acha damaad mil jaye, magar un ko koi acha nahi jacha, darul uloom deoband aaye, is waqt Sheikh al-hind hazrat maulana Mahmood hasn sahab ka zamana tha, un se kaha mujh ko apni larki ka nikah karna hai, koi acha damaad chahiye, hazrat Shaikh al-hind (Ra) ne farmaya ke jab bache parhne k liye ayen ge, to dekh lena jab bache parhne k liye aaye, to unhon ne sab par nigah daali, aakhir-kaar maulana Ahmad Ali Lahori par nigah jam gayi, kaha ke woh bacha mujh ko acha lagta hai, hazrat Sheikh al-hind (Ra) ne farmaya woh bacha no muslim hai, kaha theek hai, magar mujh ko usi se karna hai, un ko bulaya, kaha beta nikah karo ge, unhon ne kaha ke mein no muslim hon, mere aage peeche koi nahi hai, zimma daari kon sanbhle ga, magar nikah karna sunnat hai, karna to hai hi, kaha beta jab karna chahte ho to mein raazi hon, mein apni larki se nikah karne k liye tayyar hon, ab te hogaya, ke kal nikah hojaye ga, aajkal log mahino pahle tareekh tay karte hain, do chaar chay khane k liye jate hain, tareekh tay karte hain aur is tarah karne ko kamaal samajte hain, jab zindagi se saadgi aur sunnat nikal gayi, to tarah tarah ki khurafatin aur rasam riwaj aagai, jo aap tasawwur bhi nahi kar sakte, abhi baat hui hai ke aindah kal nikah hoga, jab mere sathiyon ko maloom howa kahne lage, zara acha kapra pahanna, chunki saathi be takalluf hote hain, kahne lage hamara jora, ya falan ka jora le lena, mein ne kaha bhai jo kuch mujh ko Allah taala ne diya hai, wohi pahnon ga, mangni ka ( yani maang kar ) mein nahi pahnon ga, saathi kahne lage jab aisi baat hai to subah zara jaakar khud apna hi kapra dho lo, saaf suthra hojaye ga, kaha theek hai aisa kar lon ga, farmane lage meri jo shamat aayi, ke sardi ka zamana, aur Dehli deoband waghera mein sakht krake ki thandak padte hai, itna kohra parta hai ke Sooraj nazar nahi aata hai, hum log apne asaatizaa karaam ki taqreer likhte rahte the to thandhi ki wajah se ungli moti hojati thi, farmane lage mein ne ja kar kapra dhoya, ke Zahar se asar tak sukh jaye ga, aur mein aajaon ga, jab kapra dhoya to baadal hogaya, sardi k zamana mein dhoop hi kitni hoti hai, ab mein is kapre ko hila raha hon ke ab sookh jaye, ab sookh jaye, zara dhoop aajay sookh jaye, hilaate hilaate asar ka waqt qareeb agaya, aur wohi mein ne geela kapra pahan liya, kahne lage, mere hone wale khusar aise aala zarf k the , ke guzashta din jo mein ne kapra pahna tha, wohi aaj bhi geela pahen kar aaya tha, lekin unhon ne kuch bhi nahi kaha, ke mujh ko faqeer aadmi se nahi karna hai, balki mera nikah isi kapra mein hogaya, aakhir-kaar saal poora hogaya, aur meri biwi mere yahan rukhsat ho kar aay, do maheena mere yahan rahi, do maheena k baad jab apne maa k ghar pahunchin, maa maa hoti hai, poochti hai ke beti kaisi guzri, theek hai ya nahi, aur mohabbat ki baat hai poochna bhi chahiye, is se taalluq judta hai, aakhir meri saas ne bhi meri biwi se poocha beti kaisi guzri, beti ne jawab diya ke ammi mein suntee thi ke akhirat mein aik jannat hogi, Allah taala ne hum ko duniya mein hi jannat dediya, halaank ke faqr o faqa karke gaye theen, kabhi kuch khane ko hai, kabhi kuch nahi hai, is liye k zaraye aamdani koi cheez thi nahi, lekin phir bhi na koi shikwah na shikayat, is qurbani Mujahida k baad farmate hain aaj Lahore ke bare bare maldaar gharana ki betiyan biwiyan mere ghar mein jharoo daine ko fakhr samjhti hain, Allah taala ne woh maqam ataa farmaya tha, farmaate hain mere liye Taif se phal aata hai, jab inka intiqaal howa un k qabar se khushbu aati thi, yeh jahan madfoon hue hain kisi ne khawab mein dekha ke un ki barkat se Allah taala ne qabrustan ke tamam mardon ki bakhshish farma di
itteba e sunnat ki barkaten
az hazrat maulana Muneer Ahmad sahab (db) kalina mumbai
broadcast list se msg k liye 9920454624 ahmadullah
broadcast list se msg k liye 9920454624 ahmadullah
No comments:
Post a Comment