Tuesday 21 July 2015

Fazail E Amaal; Zaroori Wazahat

Fazail E Amaal Koi Aqaid Ya Masail Ki Kitaab Nahi Hai Yeh Fazail Ki Kitaab Hai Jiske Likhne Ka Maqsad Sirf Yeh Tha Ke Logo Ko Amal Par Raghbat Di Laaye Jaaye.

Aur Chuke Yeh Fazail Ka Maamla Hai Isliye Is Kitaab Me Zaeef Hadeese Maujood Hai.

Kyunke Fazail Ke Baab Zaeef Motabar Huwa Karti Hai.

Darj E Zail Muhaddiseen Ne Fazail Ke Baab Zaeef Hadeeso Ko Motabar Kaha Hai.

Imam Nawawi Rh. (Al Azkaar : 7)Mullah Ali Qaari Rh. (Mauzu-Aat E Kabeer : 5 , Sharah Niqaaya : Jild 1 : Safa 9)Imam Haakim Rh. (Mustadrak Haakim Rh. : Jild 1 : 490)Alama Sakhaawi Rh. (Al Qaul Badii : Safa 196)Alama Ibn Taimiya Rh. (Fatawa : Jild 1 : Safa 39)

Ghair Muqallideen Ulama Ka Bhi Yahi Usool Hai.

Miya Nazeer Hussain Sahaab.(Fatawa Nazeeriya : Jild 1 : Safa 265)Nawab Siddiq Hasan Khan Sahaab(Daleel Ul Taalib Alal Mutaalib : 889)Maulana Sanaullah Amritsari Rh.(Akhbaar Ul Hadees , 15 Shawwal , 1346 Hijri)Haafiz Md Lakhwi Rh. (Usool Al Khars : 6)Maulana Abdullah Roopdi Sahaab Rh. ( Fatawa E Ahle Hadees : Jild 2 : Safa 473)

Zaeef Ahadees Se Mutalliq Imam Bukhari Rh. Ka Tarz E Amal :

Imam Bukhari Rh. Ka Apni Kitaab “ Al Adab Al Mufrad “ Me Jo Tariqa E Kaar Raha Hai Isse Se Yeh Baat Bilkul Wazeh Hojaati Hai Ke Wo Fazail Aur Uske Muta’aliqaat Me Zaeef Ahadees Par Amal Karne Ko Durust Qaraar Dete Hai.

Chunaanche Abdul Fataah Rh. “ Al Adab Al Mufrad” Ke Ruwaat Ka Jo Mastoor , Zaeef , Ya Majhool Ya Un Jaise  Ausaaf Se Muttasif Hai “ Taqreeb” Ki Warq Gardaani (Mutaala) Ke Baad Un Ke Ta’adaad Zikr Kiye Hai. Jisme Mastureen Ki Ta’adaad ‘20’Aur Zaeef Ruwaat Ki Ta’adaad ‘22’ Aur Majhool Ki ‘28’ Hai.

Iske Alaawa Degar Kitaabo Me Bhi Imam Bukhari Ne Zaeef Ahadees Naql Ki Hai.

Qalqu Af’al Al-‘IbaadLil Bukhari ( خلق أفعال العباد ) Me 13 Zaeef Raavi Maujood Hai.

Isi Tarah Juz E Rafeyadain Me ‘7’ Zaeef Raavi Hai Aur Juz E Qirat Me ‘7’ Raavi Zaeef Hai.

Aur Unki Mashoor Kitaab Taarekh Ul Kabeer Me Hadees Ki Nau-E-Yat (Ba-Qaul Dr Muhammed Bin Abdul Kareem Bin Ubaid Hafizullah Ke ) ‘127’ Marfu Hai , Jinme Saheeh Hadees ‘210’ Hai Aur Hadees Ahadees ‘370’ , Zaeef Aur Bilkul Na-Qaabil E Aitebaar Ahadees ‘399’ Aur ‘1’Mauzu Hadees Batlaai Hai.

(Tehqeequl Maqaal : 168-177)

Imam Muslim Rh. Ka Tarz E Amal :

Imam Muslim Apni Kitaab Saheeh Muslim Ke Muqaddama Me Yeh Likhi Hai Ke Hadees Ki 3 Qisme Karne Ke “ Ek Wo Jise Mutqineen (Siqa) Ne Riwayat KiyaHai.Dusre Wo Jinhone Ahle Satr Wa Sidq ( Hasan Darje Ke Raavi)  Se Riwayat Kiya Hai Aur Teesre Wo Jinhone Zaeef Aur Matrook Logo Ne Riwayat Kiya Hai”.Khud Is Baat Par Dalaalat Karta Hai Ke Inhone Apni Saheeh Hadees Me Baaz Un Riwayaat Ka Bhi Zikr Kiya Hai Jinke Mutaafi-Aat Aur Shawaaid Maujood Hai.

Chunaache Yahi Baat Alama Nawawi Rh. Ne ( Muqaddama Sharah Muslim : 15 ) Me Aur Alama Zehbi Rh. Ne ( Seer Alamul Nubula : 565/12) Me Farmaayi Hai.

Inse Maloom Hoti Hai Ke Fazail Ke Maamle Me Zaeef Hadeese Unke Yaha Motabar Hai.

Imam Malik Rh. Ka Tarz E Amal :

Imam Malik Rh. Ki Mashoor Kitaab Muwaata Imam Malik Me 500+ Muttasil Riwayaat Hai Aur 300+ Mursal Riwayaat Hai Aur 70+ Ahadees Wo Hai Jispar Khud  Imam Malik Rh. Ne Amal Nahi Kiya Aur Is Me Zaeef Hadeese Shaamil Hai.JinkoAksar Ulama Ne Zaeef Qaraar Diya Hai.

(Tadreeb Ur Raavi : 109/1)

Hafiz Ibn Hajr Rh. Ka Tarz E Amal :

Hafiz Ibn Hajr Balooghul  Mehraam  Jisme Ahkaam E Shariah Ke Usool Bayan Kiye Hai Is Kitaab 117 Zaeef Hadees Maujood Hai.  (Tehqeeq Ul Maqaal : 224)

Imam Haakim Rh. Ka Tarz E Amal :

Alama Zehbi Rh. Ne Imam Hakim Ki Mustadark Haakim Me Mauzo Hadees Ki Ta’adaad 100 Bataai Hai. ( Taqreeb : 52)

Isi Tarah Kul Mustadrak Hakim Me Zaeef Aur Mauzoo Hadees Ki Tadaad Milaakar (Ba-Qaul E Alama Zehbi Aur Ibn Ul Mulqan Rh.)  907 Hai. (Tehqeeq Ul Maqaal : 291)

Ab Fazail E Amaal Me Maujood Ahadees KiTakreej Bhi Mulaaheza Farmaaye :

Fazail E Amaal Ki Wo Ahadees Jo SirfSaheeh Bukhari Me Maujood Hai. Unki Ta’adaad ‘63’ Hai.

Fazail E Amaal Ki Wo Ahadees Jo SirfSaheeh Muslim Me Maujood Hai. Unki Ta’adaad ‘92’ Hai.

Fazail E Amaal Ki Wo Ahadees Jo Saheeh Bukhari Aur Saheeh Muslim Dono Me Maujood Hai. Unki Ta’adaad ‘52’ Hai.

Fazail E Amaal Ki Wo Ahadees JoSaheehain Ke Alaawa Mazkoor Hai , Unki Ta’adaad ‘134’ Hai.

Fazail E Amaal Ki Wo Ahadees Jo (Saheeh E Lighairihi ) Hai. Unki Ta’adaad ‘159’ Hai.

Fazail E Amaal Ki Wo Ahadees Jo Hasan (Hasan E Lighairihi + Hasan E Lizaatihi ) Hai. Unki Ta’adaad ‘401’ Hai.

Fazail E Amaal Ki Wo Ahadees Jo Zaeef  Hai. Unki Ta’adaad ‘377’ Hai.

Ek Guzarish : Agar Koi Ghair Muqallid Fazail E Amaal Ko Is Waje Se Rad Karta Hai Ke Usme Zaeef Ahadees Maujood Hai Toh Arz Hai Ke

Fazail E Amaal Ko Baad Me Radd Kare Pehle Imam Bukhari Ki Tareekh Ul Kabeer Ko Radd Kare Kyunke Usme Bhi Zaeef Ahadees Maujood Hai.

Agar Koi Ghair Muqallid Fazail E Amaal Ko Is Waje Se Rad Karta Hai Ke Usme Zaeef Ahadees Kaseer Ta’adaad Me Maujood Hai Toh Arz Hai Ke

Ke Pehle Taarekh Ul Kabeer Ka Radd Kare Baad Me Fazail E Amaal Ko Kyunke

Fazail E Amaal Me Zaeef Ahadees Ki Ta’adaad  ‘377’ Lekin Imam Bukhari Rh. Ki Taarekh Ul Kabeer Me Zaeef Aur Bilkul Na-Qaabil E Aitebaar Ahadees ‘399’ Aur ‘1’Mauzu Hadees Hai.

Fazail E Amaal Me Toh 1 Bhi Mauzo Hadees Nahi Hai.

Gharz Kehne Ka Maqsad Yeh Hai Ke Ghair Muqallideen Jab Zaeef Ahadees Ke Naam Par Fazail E Amaal Ko Radd Karte Hai Toh Phir Dusre Kutub Me Kaseer Tadaad Me Zaeef Ahadees Maujood Hai Unka Radd Kyun Nahi Karte.

No comments:

Post a Comment