Thursday 7 May 2015

Qissa Hazrat Moosa Alaihissalam Ka

Hazrat e Musa Aaihisslaam Hazrat e Khizar Aaihisslaam ki Mulaqat ka mukammal waqiya full hadees ref. ke saath, sahih muslim sharif aur digar hadeeso se.

NABI KARIM صلی اللہ علیہ وسلم ne hazrate musa wa hazrte khizar ki mulaqat ka waqiya faramaya hai ki 

Hazrte khizar alaihissalam hazrate musa alaihissalm se farmatein hai ki AAP jho ilm jantein hai woh main nahi janta aur jho main ilm janta hu use AAP nahi jantein. Phir hazrate musa ne farmaya ki mujhe woh lim jaan na hai jise AAP jantein ho aur mein nahi janta. Aur iske liye main AAP k sath rehna chachunga. Is par hazrte khizar alaihissalam ne farmaya ki AAP mere sath sabr nahi kar sakenge. Hazrate musa ne farmaya ki main AAP k farman k tabe’a rahunga. Hazrate khizar ne farmaya ki tou phir jab tak main kuch sawal na karu tab tak AAP kisi chiz k bare me kuch nahi bolenge. HAZRATE MUSA is baat sehmat huwe aur HAZRTE KHIZAR k saath saael k kinare-kinare chal diye.

Ek jagah pe ek kashti mili – kashti walo ne bagair kiraye k dono hazraat ko kashti me sawar kiya, HAZRTE KHIZAR ne kashti ki takhto me se ek takht ko nikal diya. Is par HAZRTE MUSA ne farmaya ki ye AAP ne kya kiya ki jinhone HUME bagair kiraye ki kashti me bithaya aur AAP ne unki isi kashti k takhte ko ukhad diya? Ye AAP ne bahut ajib kiya. Is par HAZRAT KHIZAR ne farmaya ki maine kaha tha ki AAP mere sath sabr nahi kar payenge. HAZRATE MUSA ne farmaya ki jho baat me bhul gaya hu us par AAP mu’aakhizah na kare aur mere mu’amle me sakhti na kare.

Phir dono hazraat age chal diye rastein me ek larke ko dusre larke se khelte huwe dekha, HAZRATE KHIZAR ne usko dekha aur apne haath se us larke ka sar dhad se alag kar diya. HAZRATE MUSA ne farmaya ki AAP ne is be-gunah larke ko bagair kisi qisas k qatl kar diya? AAP ne bahot bura kaam kiya. Is par HAZRATE KHIZAR ne kaha ki maine nahi kaha tha ki AAP mere sath sabr nahi kar sakenge. HAZRATE MUSA ne kaha ki ab agar me kisi chiz k muta’allik sawal karu tou AAP mujhe apne saath na rakhna.

Phir dono HAZRAAT age nikal gaye – ek gao aaya jaha par dono HAZRAAT tamam jamat ke paas pahuch magar kisi ne dono ki maheman nahazi nahi ki aur khana bhi nahi diya. Usi gao me ek diwar ko girte dekh kar HAZRATE KHIZAR ne use thik kiya. Is par HAZRATE MUSA ne farmaya ki kisi ne hamare maheman nawazi nahi ki ab AAP ne is diwar ko thik kiya hai tou AAP unse kuch ujrat le saktein hai. HAZRATE KHIZAR ne farmaya ki ab AAP aur MERE darmayan firaq aa gaya (ab hum age saath nahi rahenge)

Phir HAZRATE KHIZAR ne tamam waqiyo ki tawil batana shuru kiya ki kashti ka takht kyun toda gaya tou woh is liye ki us kashti ka jaha se guzar hona tha waha age ek zalim badshah tha jo achi kashti ko dekh kar use chin ne k liye aata tha magar tuti kashti dekh kar use chor deta tha. Aur woh kashti samandar me kaam karne wale miskin logo ki thi.

Us bache ko qatl karna pada – is wajah se ki us ki kismet me kafir hona likha tha aur uske maan baap us se bahut muhabbat kartein the. Agar woh bada hota tou apne waledain ko bhi kufr aur sarkashi me mubtela kar deta. Tou hum ne chaha ki ALLAH TA’ALA use uske badle me ek pakiza aur suleh rahmi karne wala larka de.

Aur woh diwar ko thik kiya – kyunki woh us shaher k do yateem bacho ki diwar thi aur uske niche khazana tha. (agar woh gir jati tou log loot lete).

[yaad rahe ki ye tamam waqiyat hazrate khizar alaihissalam ki shari’at wa ilm k andar dakhil tha. Aaj k daur me musalman k liye is tarha amal karan munasib nahi – ki hum woh gaib nahi jantein jho hazrte khizar ne ALLAH ki ata se jane, aur khas kar us bachche ke qatal ke muta'allik]

[Sahih Muslim Sharif, Jild 03, Kitab: 43 – Kitab ul fazail, Page 278 to 286, Baab 46 – HAZRATE KHIZAR ALAIHISSALAM k fazail, Hadith No. 6113, 6115-16-18] [Bukhari Sharif: 84, 78, 122, 2268, 2827, 3400, 4826-27, 6682] [Tirmizi Sharif: 3130]

No comments:

Post a Comment