Monday 23 November 2015

Kaun Hai Hamara Ameer ?

Assalamualykum

Aaj waqiatan ham musalmane hind ko in naa musaaid siyaasi haalaat me ek
Saaleh
Zaheen
Mutajarrib
Qayadat ki zarurat hai

Ye hamaree bhot badee ghaflat rahee hai ke ham ne Kabhi apne liye iski zarurat ko khudse mehsoos hi nahi kiya

Jabke Aaqa madni Sallallahualyhiwasallam hame iskaa hukm de gaye hai
Ke
Jisne apna koi amir nahi banayaa aor isee halat par mar gayaa wo jaahiliyyat ki mot maraa
Mafhoome hadis
Balke ham aajtak sirf ittihaam o ilzamo hi me rahe ke fulaan qayadat mukhlis nahi fulan mufid nahi fulan maqool nahi wagera
Jabke
hamaree aqalo par maatam kiya jaay utna kam hai
Ke
UN logo ko
Yaa
UN  jamaato ko
Yaa
UN tanzeemo ko
Yaa
UN tahreeko ko
Hamne tanqeedo kaa aor ilzamaat kaa nishana banayaa jinko hamne Kabhi apna qaaid taslim hi nahi kiya aor na Kabhi un logo ne apne aapko pooree ummate muslima hind kaa qaaid hone kaa daawa kiya

Qaaid tay karna hamari zimmedaari hai
Aor
Kaisa qaaid apne liye tay karna ye bhi ek mustaqil zimmedari hai
Aor fir us qayadat ko ittilaa karna ke Ham aapke zere qayadat chalna chahte hai ye bhi ek aham zimmedari hai
Aor sabse badee zimmedari ye ke jab kisee qaaid ko Hamne bahasiyate qaaid taslim karliya to uske mashwaro ko qabool karte hue uspar amal kare
👆ye wo usool hai Jo qayadat ke taalluq se hame quran o sunnat ke mutaale aor Allah walo ke bayanaat se samajh me aate hai

Ab in chizo par khud gaor kare aor batay ke
Kya
Mazkoora baato me se kitnee baato par hamara amal hai

Aor agar ham ko koi sahee qaaid hi nazar nahi aata to uski wajah
yaato ye ho sakti hai ke
Ham mojooda chote bade tamam logo se ilm o tajrube me afzal hai
Lihaza hame qayadat kaa bedaa khud uthaakar ummat ki rehnumaai kaa fariza anjaam dene ke liye maidane amal me aana chahye

Yaa fir
Ye wajah ho sakti hai ke hamaree tahqeeq me kami hai lihaza hame sahee qaaid ki talash me jut Jaanaa chahye aor apne liye ek amir o qaaid Tay karlena chahye
〰〰〰〰〰
Ye Jo mojooda tanzeeme tahreeke shaksiyate hai ye apne apne sawabdeed ke hisab se kaam karrahi hai
Inko inkaa kaam karne dijiye

Ye buraai ab nikaal phenkiye Jo arsae daraz se mojooda media kee iqtidaa me hamaree tabiat kaa hissa ban chukee hai
Ke

Asal Jo zimmedari hai usse qataanazar sirf aor sirf kaam karne walo par tanqeede karte rehna
Aor bas
Yaad rakho sirf tanqeede aor Ilzam tarashiya Kabhi kisee qom kee taraqqi kaa zariyaa nahi ho sakti

Allah hame deen ki sahee samajh de

Talibeilm

No comments:

Post a Comment