Assalaamualaikum!
Aaj kal yeah sab bid’atain hum ne is taraah apna li hain k inhain apne deen ka hissaa hi bana liya hai. (Tauba Na’uzubillaah) Humain in bid’aton se jitna ho sakay bachna chahiye kyunk hadeeth e Nabwi sallaahu ‘alaihi wasallam hai:
“MAIN HAUZ-E-KAUTHAR PER TUM LOGON KA PAISH KHAIMA HOON GA OR TUM MEIN SE KUCH LOG MERI TARAF AAEN GE. JAB MAIN UNHAIN (HAUZ KA PAANI) DENE K LIYE JHUKOON GA TO UNHAIN MERE SAMNAY SE KHAINCH LIYA JAE GA. MAIN KAHOON GA, AE MERE RABB! YEAH TO MERI UMMAT K LOG HAIN. ALLAH TALAH FARMAAE GA AAP KO NAHI MAALOOM K INHON NE AAP K BAAD DEEN MEIN KYA NAYI BATAIN NIKAL LI THI”
SAHIH BUKHARI, VOLUME 8, KITAAB UL FITAN, PAGE 327, HADITH 7049
Mazeed aap sallaahu ‘alaihi wasallam ne farmaya:
“MAIN KAHOON GA KEH DOORI HO DOORI HO UN K LIYE JINHON NE MERE BAAD DEEN MEIN TABDEELIYAN KAR DI THI.”
SAHIH BUKHARI, VOLUME 8, KITAAB UL FITAN, PAGE 327, HADITH 7050-51
ą MURDAY KO DAFNANAY K BAAD LOG FORAN TAA’ZIYAT OR DAAWAT KI TARAF DOR PARTAY HAIN. MURDAY KI WASSIYYAT OR US KA QARZ PURA KARNE SE GHAAFIL HO JATAY HAIN. WHO LOG WAAJIB CHOR KAR BID’AT KI TARAF DOR RAHAY HAIN.
ą MAYYAT KI WAFAAT SE LE KAR US KI TAJHEEZ O TAKFEEN TAK QUR.AAN KHAANI KARNA, YA ISSI TARAH ROOH QABZ K WAQT SURAH YASEEN KA KHATM KARNA, IS K LIYE KARAAE PER PARHNAY WALON KO TALAB KARNA.
ą NOHAA KARNA, CHEEKHNA, CHILLAANA, GIREBAAN PHARNA, MUN NOCHNA, OR ALLAAH SUBHAANAHU WA TA’AALA KI TAQDEER PER YEAH KEH KAR AITRAAZ KARNA KEH FALAAN SHAKHS TO MUSEEBAT K LAYIQ NA THA, FALAAN SHAKHS KO ABHI TO NAHI MARNA CHAHIYE THA. YA YEAH KEHNA K AE RABB! MAIN NE TERA KYA KIYA HAI KEH TU MUJHE MUSEEBAT DE RAHA HAI. HALAANKEH AISE LOGON KO MAYYAT KI WAFAAT PER INNAA LILLAAHI WA INNAA ILAIHI RAAJEOON PARHNA CHAHIYE, OR ALLAAH KI TAQDEER PER RAAZI HO KA US KA SHUKR ADAA KARNA CHAHIYE.
ą YEAH AQEEDA RAKHNA K SHOHAR BIWI AIK DUSRAY KO GHUSAL NAHI DE SAKTAY HALAANKEH BAAZ SAHAABA KARAAM RADIALLAAH ‘ANHUMAA SE SAABIT HAI K UNHON NE APNI BIWIYON KO GHUSAL DIYA HAI.
ą MAYYAT KO QABRISTAAN LE JAATAY HAIN TO US KO AIK KAPRAY SE DHAANK DETE HAIN, JIS PER AAYAT UL KURSI YA KOI AAYAT LIKHI HOTI HAI, YEAH BHI AIK GHALATI HAI.
ą FARZ NAMAAZON KA QABRISTAAN MEIN ADAA KARNA. QABRON KI TARAF RUKH KAR K NAMAAZ PARHNA, DU’AA KARNA, QUR.AAN PARHNA. YEAH SAB SHIRK K WASAAYIL MEIN SE HAIN. ALBATTA JANAAZA KI NAMAZ QABRISTAAN MEIN PARHI JA SAKTI HAI.
ą TAAKHEER SE JANAAZA ADAA KARNA. BAAZ LOG APNE QAREEBI RISHTE DAARON K INTAZAAR MEIN YA KHATAM UL QUR.AAN K INTAZAAR MEIN JANAAZA MEIN TAAKHEER KARTAY HAIN, HALAANKEH IS SILSILAY MEIN SUNNAT YEAH HAI K JANAAZA MEIN JALD BAAZI SE KAAM LIYA JAAE, OR RISHTE DAAR WAGHAIRA JAB WAHAAN POHANCHAIN TO QABR PER JA KAR NAMAAZ E JANAZA ADAA KAR LAIN.
ą BE NAMAAZI KA JANAAZA ADAA KARNA. AISA KARNA DARUST NAHI HAI, BALKEH AIK DHOKA OR KHAYANAT HAI. IS LIYE JAB KISI BE NAMAAZI KA INTAQAAL HO JAAE TO NA USSE GHUSAL DIYA JAAE, NA HI US KI JANAAZA PARHI JAAE, OR NA HI USSE MUSALMAANO KAY QABRISTAAN MEIN DAFAN KIYA JAAE. (ASTAGHFIRULLAAH)
ą JANAAZAY KI NAMAZ K TAREEQAY SE GHAAFIL HONA.
ą 4 MAHEENAY SE ZIYAADA KA HAMAL SAQIT HO JAANAY PER JANAAZA ADAA NA KARNA. IS LIYE K IS MUDDAT MEIN ROOH PHOONK DI JAATI HAI. SO JAB 4 MAAH KA BACHA SAQIT HO TO BEHTAR YEAH HAI KEH USSE GHUSAL DIYA JAAE, US KI JANAAZA PARHI JAAE OR MUSALMAANO K QABRISTAN MEIN USSE DAFAN KIYA JAAE. ALBATTA 4 MAAH SE QABL PER JANAAZA NAHI.
ą YEAH AQEEDA RAKHNA K JAB SUAALEH SHAKHS KA JANAAZA HO TO US KI MAYYAT HALKI HOTI HAI. IS KI KOI HAQEEQAT NAHI HAI.
ą JANAAZAY KO AHISTA RAFTAAR MEIN QABARISTAAN LE JANA. SUNNAT YEAH HAI K JANAAZAY KO TAIZI SE LE JAAYAA JAAE.
ą JANAAZA LE JAATAY WAQT ZOR SE ALLAAHU AKBAR, LAA ILAAHA ILLALLAAH, YA KALMAA E SHAHAADAT KEHNA.
ą JANAAZAY KI NAMAAZ K BAAD HAATH UTHA K AR IJTAMAA’I DUA KARNA.
ą RAAT MEIN DAFAN NA KARNA. HASB-E-ZAROORAT RAAT MEIN DAFAN KAR SAKTAY HAIN.
ą PEHLE SE APNI MANN PASAND QABAR KHUDWANA OR USSI MEIN DAFAN KI WASSIYYAT KARNA.
ą QABARISTAAN MEIN JA KAR KHAMOSHI S-E FIKR-E-AAKHRAT KI BAJAAE SHOR O GHUL KARNA.
ą QABAR PER KUTBA LAGAANA.
ą MAYYAT KO GHAR SE LE JAATAY WAQT YA DAFNAANAY K WAQT JAANWAR ZIBAH KARNA.
ą MURDA KA AHTARAAM NA KARNA. MASLAN QABAR PER JOOTAY YA CHAPPAL PEHAN KAR CHALNA, QABARISTAAN MEIN GANDAGI OR KACHRAA PHAINKNA, QABARON KO BATTIYON SE CHIRAGHAAN KARNA.
ą BAZURG YA WALI KI QABR KO MUQADDAS SAMAJHNA.
ą YEAH AQEEDA RAKHNA K DARAKHT MAYYAT KI KHUSH BAKHTI KI ILAAMAT HAIN. IN DARAKHTON KO KAATNE WALA MUSEEBAT MEIN GIRAFTAAR HO GA.
ą QABARON KI SHIRKIYAA ZAYAARAT KARNA; SAAHAB-E-QABAR SE DU’AA KI DARKHUAAST KAY LIYE SAFAR KARNA, IN SE HAAJAT TALAB KARNA, MURAADAIN MAANGNA, UN KI QABARON KA TAWAAF KARNAM, UN KAY NAAM KI NAZAR MAANGNA, YEAH SAB KHULA HUA SHIRK OR AZEEM GUMRAAHI HAI. YEAH WHO AMAL HAI JO BANDAY KI NAIKIYAAN MITA DETA HAI.
ą QABARON KI ZAYAARAT K LIYE SAFAR KARNA, KHAWAAH NABI KAREEM SALLAAHU ‘ALAIHI WASALLAM KI QABAR KAY LIYE HO, YEAH SAB BID’AT HAI. IS LIYE NABISALLAAHU ‘ALAIHI WASALLAM KI MASJID MEIN NAMAAZ PARHNE KAY LIYE SAFAR KARNE KA HUKM HAI, NA QABAR KI ZAYAARAT KI GHARZ SE. ALBATTA WAHAN KOI POHANCH JAAE TO NABI KAREEM SALLAAHU ‘ALAIHI WASALLAM KI QABAR KI ZAYAARAT KARAY, OR AAP PER DUROOD BHAIJE.
ą JUMU’AA (FRIDAY) OR ‘EED K DIN KHASUSIYYAT SE QABARON KI ZAYAARAT KARNA.
ą QABAR KI ZAYAARAT KAY WAQT QABAR PER PAANI CHIRANKNA.
ą QABAR PER QUR.AAN PARHNA.
Please forward this to all you know, so that, more and more people can prevent performing innovations. May Allaah subhaanahu wa ta’aala bless you in this world and hereafter. Aameen
http://dahonest.jimdo.com/new-page/#
No comments:
Post a Comment