Aamaale jumaa ahaadis ki roshni me⬇
🌿🌿🌿🌹🌿🌿🌿
1⃣👉🏼Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya Jo shakgs jumaa ki raat me 🌿surae dukhan🌿 (paara number 25)padhegaa uski magfirat kardi jaaygi
📗Tirmizi sharif
Ek ruwaayat me hai
Jannat me uske liye ghar banaa diyaa jaayga
📗Almujamul kabir littibrani
Ek riwaayaat me hai
70 hazaar farishte uske liye duaae magfirar karenge
📗Tirmizi sharif
➖➖➖
2⃣👉🏼Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya Jo shaks jumaa ke din yaa raat 🌿surae yaaseen🌿 padhegaa uski magfirat kardi jaaygi
📗Attargeeb
➖➖➖
3⃣👉🏼Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya Jo shaks jumaa ki subah fajr kee namaz (farz) se pehle ye astagfaar 3 martaba padhe uske gunaah samandar ke barabar kyoo naho maaf kardiye jaaynge
🌿astagfirullahal lazee laa ilaaha illaa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilyh🌿
📗Ibne sunni an anas radiyallahuanhu
➖➖➖
4⃣👉🏼Rasulullah sallallahualyhiwasallam jab jumaa ke din masjid me daakhil hote to ye duaa padhte 🌿allahummaj alni awjaha man tawajjaha ilyk wa aqraba man taqarraba ilyk wa afzala man sa alaka wa ragiba ilyk 🌿
📗Ibne sunni
➖➖➖
5⃣👉🏼Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya jo shaks jumaa ke baad 🌿Surae ikhlaas 7 times. Surae falaq 7 times. Surae naas 7 times.🌿 Padhegaa allah paak usko ek jumaa se doosri jumaa tak museebato aor buraaiyyo se mahfooz rakhenge
📗Ibne sunni
➖➖➖
6⃣👉🏼 Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya jo shaks jumaa kee namaz ke baad 🌿100 times Subhanallahil azeemi wabi hamdihee🌿padhegaa allah paak uske 1 laakh aor uske waaliden (maa baap) ke 24 hazaar gunaah maf kar denge
📗Ibne sunni
➖➖➖
7⃣👉🏼Rasulullah sallallahualyhiwasallam ne farmaya mujh par kasrat se durud bhejte raho jo shaks aisa karega qayamat ke din uske liye shahaadat (gawaahi)doonga aor shifaat karoonga
📗Alqolul badee
(300 martaba kasrat me daakhil hai)
➖➖➖
8⃣👉🏼 Hazrat ibne umar radiyallahuanhumaa farmate hai jo shaks jumaa ke din 🌿Surae kahaf (paara number 15) padhega uske qadam aor asman ke darmiyaan ek noor hogaa jo qayamat ke din roshan hoga aor 2 jumaa ke darmiyan ke gunaah maaf kardiye jaaynge
📗Attargeeb
Ulamae ikram jumaa ke din iske padhne ko sunnat qarar dete hai
➖➖➖
9⃣👉🏼 Hazrat abu hurairah radiyallahuanhu farmate hai jo shaks jumaa kee asar kee namaz ke baad ye durud 🌿Allahumma salli alaa muhammadinin nabiyyil ummiyyi wa alaa aalihi wa sallim tasleemaa 80 times🌿padhegaa uske 80 saal ke gunah maaf honge aor 80 saal ki ibadat kaa sawab uske liye likha jaayga
📗Alqolul badee
➖➖➖
🌿🌿🌿🌹🌿🌿🌿
Duaa kee darkhast az Talibeilm
No comments:
Post a Comment