Letter written by Maulana Saeed Ahmad Khan Sahab R.A. to Tableeghi shura in 1977:
● Ahle shura me se kisi se bhi naraaz nahi hona chahiye.
● Aap sathiyon me jo ameer ka faisala ho wo qabool karna chahiye, beshak tabiyat me bojh hi kyun na ho.
● Apni mehnat ko hamesha kam samajhna kabhi ye khayal na aye k maine jaan aur maal lagaya hai.
● Kabhi tableegh ka ILm ya zikr se muqabala na karna,
Balki islaah-e ilm aur zikr ko phaylane k liye dawat wa tableegh k ilawa koi raasta nahi hai.
● Aap k mulk me jo bhi ahle ilm aur zikr hai unse muhabbat karna aur unko hadiya dena.
● Ameero ko kabhi ghareebo pe tarjee na dena , balki ghareebo k sath zyada muhabbat se baat karna.
● Agar aap ne ghareebo me kaam chalu kar diya toh pure Aalam k ameer log khud apne jaan maal laga k aap k paas ayenge Allah subhanahu wa ta'aala ki baat sunne.
● Ummat k har tabqe mein Hazrat Muhammad sallalahu alaihi wa sallam wali fikar k sath kam karna.
No comments:
Post a Comment