Wednesday, 14 January 2015

How To Perform Wuzu

Wazu ka tariqa,
Faraiz,
Sunnaten wagairah Malumat

Wazu karne ka tareeqah yeh hai ke pehle (Bismillahir Rah’maanir Rah’eem) padhe, phir miswaak kare agar miswaak na ho to ungli se daantmal le, phir donon haath ko gatton tak 3 baar dhoye pehle daahine haathpar paanidaale phir baaein haath par donon ko 1 saath na dhoe. Phir daahine haath se 3 bar kulli kare phir baaen haath ki chhoti ungli se naak saf kare aur daahine haath se 3 baar naak mein paani chadhaae phir pura chehra dhoe yaani peshaani par baal ugne ki jagah se thoddi ke niche tak aur 1 kaan ki lau se doosre kaan ki lau tak har hissah par 3 baar paani bahaae uske baad donon haath koniyo samet 3baar dhoe ungliyon kitaraf se koniyo ke upar tak paani daale, kohniyo ki taraf se na dale phir1 baar dono haath se pure sar ka masah kare. Phir donon paon takhno sametteen baar dhoe.(Bahar-e-Shari’ -at)

Mas’alah:
Kisi u’zv (part) ke dhul jaane ka yeh matlab hai ke us u’zv ke har hisse parkam se kam do do boond paani beh jaaye. Bheeg jaane ya tel ki tarah paani mal lene se ya ek aadh boond beh jaane se dhona nahi hota. Is tarah dhone se wazu ya gusl nahi hota.
.

.
* Faraeiz-e-Wazu *
Wazu mein 4 cheezen Farz hain.
(1)Munh dhona yaani baal nikalne ki jagah se thoddi ke neeche tak aur 1
kaan ki lau se doosre kaan ki lau tak.

(2)Kohniyo samet dono haath dhona.

(3)Chaothaai 1/4 sar ka masah karna yaani bheega hua haath pherna.

(4)Donon paaon takhnon samet dhona.
Wazu ki Sunnatein Wazu mein 16 Sunnatein hain.

(1) Niyyat karna.

(2)Bismil -­lahir Rah’maanir Rah’eem se shuru karna.

(3) 3 baar donon haath gatton tak dhona.

(4) Miswaa­k karna.

(5)Daahin -­e haath se 3 bar kulli karna.

(6)Daahin -­e haath se 3 baar naak mein paani chadhaana.

(7)Ba -­aen haath ki chhoti ungli se naak saaf karna.

(8)Daadhi -­ ka Khilaal karna.

(9)Haath paon ki ungliyon ka khilaal karna.

(10)Har U’zw ko 3 baar dhona.

(11)1 baar dono haath se pure sar ka masah karna.

(12)Donon ­ -­ kaanon kamasah karna.

(13)Tarte -­eb se wazu karna.

(14)Daadhi ke jo baal munh ke daaere ke niche hainunka masah karna.

(15)A’aza -­a ko pai dar pai dhona.

(16)Har makrooh baat se bachna.Nawaqize Wazu

------- > In cheezon se wazu toot jata hai.

1) Pakhana ya peshaab karna ya un dono raaston se kisi aur cheez ka nikalna.

(2)Reeh -­ yaani hawa ka peeche se nikalna.

(3)Badan ke kisi makaam se khoon ya peep ka nikalkar aisi jagah beh jaana ke jis ka wazu ya ghusl mein dhona farz hai.

(4)Khana paani ya sufrah(zard balgum) ki moonh bhar ke kai(ulti) karna.

(5)Lait kar ya taik lagakar so jaana kejism ke jod dhelein pardh jaaein.

(6)Bimar­i ya kisi aur wajah se behosh ho jaana.

(7)Junoon -­, gashi ka hona.

(8)Kisi cheez ka itna nasha hona ke chalne mein paon ladkhadaein.

(8) ­Ruku aur sajdeh wali namaaz mein kahkaha laga kar hasna.

(9)Dukhti aankh se aansu behna Makroohate Wazu *
Wazu mein 21 baatein makrooh hain

(1)Aurat ke ghusl ya wazu ke bache huwe paani se wazu karna.

(2)Wazu ke liye najis jagah baithna.

(3)Naji­s jagah wazu ka paani girana.

(4)Masji­d ke andar wazu karna.

(5)Wazu ke aa’za se bartan mein paani ke katre tapkaana.

(6)Paa­ni mein reenth ya khankaar daalna.

(7)Qibla­h ki taraf thoonk ya khankaar dalna ya kulli karna.

(8)Bezarurat duniya ki baatein karna.

(9)Zarur-­t se zyaadah paani kharch karna.

(10)Paani -­ is kadar kum kharch karna ke Sunnat adaa na ho.

(11)Moonh par paani marna.

(12)Moonh -­ par paani dalte waqt phoonkna.

(13)Sirf ek haath se moonh dhona.

(14)Gale ka masah karna.

(15)Baaein haath se kulli karna ya naak mein paani dalna.

(16)Daahine haath se naak saaf karna.

(17)Apne liye koi lota wagairah khaas kar lena.

(18) 3 Naye paaniyon se 3 baar sar kamasah karna.

(19)Jis kapde se istinja ka paani khushk kiya ho usse aa’za e wazu ponchna.

(20)Dho­onp ke garam paani se wazukarna.

(21) Kisi Sunnat ko chordh dena-->(Bahare-e-Shariat)

No comments:

Post a Comment